Khuda-Humko-Aisi-Khudai-Na-De-Chitra-Singh-Ghazal-Lyrics

No comments

Khuda Humko Aisi Khudai Na De Chitra Singh Ghazal Lyrics
Khuda Humko Aisi Khudai Na De Chitra Singh Ghazal Lyrics

Khuda hum ko aisi khudai na de
Khuda hum ko aisi khudai na de
Ki apne siva kuch dikhai na de
Khuda hum ko aisi khudai na de

Khatavar samjhegi duniya tujhe
Khatavar samjhegi duniya tujhe
Ab itni bhi zyada safai na de
Khuda hum ko aisi khudai na de
Khuda hum ko aisi khudai na de

Hanso aaj itna ki is shor mein
Hanso aaj itna ki is shor mein
Sada siskiyon ke sunai na de
Khuda hum ko aisi khudai na de
Khuda hum ko aisi khudai na de

Abhi to badan mein lahu hai bahut
Abhi to badan mein lahu hai bahut
Kalam cheen le raushnayi na de
Khuda hum ko aisi khudai na de
Khuda hum ko aisi khudai na de

Mujhe apni chadar se yun dhanp lo
Mujhe apni chadar se yun dhanp lo
Zamin aasaman kuch dikhai na de
Khuda hum ko aisi khudai na de
Khuda hum ko aisi khudai na de

Gulami ko barkat samajhne lagen
Gulami ko barkat samajhne lagen
Asiron ko aisi rihai na de
Khuda hum ko aisi khudai na de
Khuda hum ko aisi khudai na de

Mujhe aisi jannat nahi chahe
Mujhe aisi jannat nahi chahe
Jahan se madina dikhai na de
Khuda hum ko aisi khudai na de
Khuda hum ko aisi khudai na de

Main ashkon se nam-e-muhammad likhun
Main ashkon se nam-e-muhammad likhun
Qalam chin le roshni na de
Khuda hum ko aisi khudai na de
Khuda hum ko aisi khudai na de

Abhi to badan mein lahu hai bahut
Abhi to badan mein lahu hai bahut
Kalam cheen le raushnayi na de
Khuda hum ko aisi khudai na de
Khuda hum ko aisi khudai na de

Khuda aise ehsaas ka naam hai
Khuda aise ehsaas ka naam hai
Rahe samane aur dikhai na de
Khuda hum ko aisi khudai na de
Khuda hum ko aisi khudai na de
Ki apne siva kuch dikhai na de
Khuda hum ko aisi khudai na de

No comments :

Post a Comment