Mujh-Se-Pehli-Si-Mohabbat-Noor-Jahan-Ghazal-Lyrics
Mujh Se Pehli Si Mohabbat Noor Jahan Ghazal Lyrics
Mujh Se Pehli Si Mohabbat, Mere Mehboob, Na Maang

Maine Samjha Tha Ke Tu Hai To Darakshaan Hai Hayaat
Teraa Ghum Hai To Ghum-E-Dahar Kaa Jhagdaa Kyaa Hai
Teri Surat Se Hai Aalam Mein Bahaaron Ko Sabaat
Teri Aankhon Ke Siva Duniya Mein Rakha Kya Hai

Tu Jo Mil Jaye To Taqadeer Nigon Ho Jaye
Yuun Na Thaa, Maine Faqat Chahaa Tha Yun Ho Jaye
Mujh Se Pehli Si Mohabbat, Mere Mehboob, Na Maang
Mujh Se Pehli Si Mohabbat, Mere Mehboob, Na Maang
Anginat Sadiyon Ke Tareek Bahimaanaa Talism

Resham-O-Atlas-O-Kamkhaab Mein Bunwaaye Hue
Ja-ba-jaa bikte huye kuuchaa-o-baazaar mein jism
Khak Mein Litade Hue Khoon Mein Nehlaaye Hue
Laut Jaati Hai Idhar Ko Bhi Nazar Kya Kije
Ab Bhi Dilkash Hai Teraa Husn, Magar Kya Kije

Aur Bhi Dukh Hain Zamane Mein Mohabbat Ke Siva
Raahaten Aur Bhi Hain Wasl Ki Raahat Ke Sivaa
Mujh Se Pehli Si Mohabbat, Mere Mehboob, Na Maang
Mujh Se Pehli Si Mohabbat, Mere Mehboob, Na Maang
Subscribe to:
Post Comments
(
Atom
)
No comments :
Post a Comment